Tehzeeb Hafi (real name: Syed Tehzeeb-ul-Hassan) is a contemporary Pakistani Urdu poet, renowned for his heartfelt and accessible poetry that resonates deeply with the youth
Biography
Born: December 5, 1989
Hometown: Retra, Tehsil Taunsa Sharif, Dera Ghazi Khan District, Punjab, Pakistan
Education: Bachelor's in Software Engineering from Mehran University; Master's in Urdu Literature from Bahawalpur University
Current Residence: Lahore, Pakistan
Tehzeeb Hafi's poetry is characterized by its simplicity, emotional depth, and contemporary themes. He often employs everyday language, making his work relatable and poignant. His verses frequently explore love, solitude, and the nuances of modern relationships, striking a chord with a broad audience.
Hafi has published two poetry collections:
Rang
Nok Jhok
Both collections have been well-received for their lyrical beauty and emotional resonance.
मैं कि काग़ज़ की एक कश्ती हूँ
पहली बारिश ही आख़िरी है मुझे
Main ki kaagaz ki ek kashti hoon,
Pehli baarish hi aakhiri hai mujhe
--------------------------------------------
तेरा चुप रहना मिरे ज़ेहन में क्या बैठ गया
इतनी आवाज़ें तुझे दीं कि गला बैठ गया
Tera chup rehna mere zehan mein kya baith gaya
Itni aawazen tujhe deen ke gala baith gaya
--------------------------------------------
ये एक बात समझने में रात हो गई है
मैं उस से जीत गया हूँ कि मात हो गई है
Ye ek baat samajhne mein raat ho gayi hai
Main us se jeet gaya hoon ke maat ho gayi hai
तुझ को पाने में मसअला ये है
तुझ को खोने के वसवसे रहेंगे
Tujh ko paane mein mas'ala ye hai
Tujh ko khone ke waswase rahenge
--------------------------------------------
दास्ताँ हूँ मैं इक तवील मगर
तू जो सुन ले तो मुख़्तसर भी हूँ
Daastan hoon main ek taveel magar
Tu jo sun le to mukhtasar bhi hoon
अपनी मस्ती में बहता दरिया हूँ
मैं किनारा भी हूँ भँवर भी हूँ
Apni masti mein bahta dariya hoon
Main kinaara bhi hoon bhanwar bhi hoon
--------------------------------------------
बता ऐ अब्र मुसावात क्यूँ नहीं करता
हमारे गाँव में बरसात क्यूँ नहीं करता
Bata ai abr musawat kyun nahi karta
Hamare gaon mein barsaat kyun nahi karta
वो जिस की छाँव में पच्चीस साल गुज़रे हैं
वो पेड़ मुझ से कोई बात क्यूँ नहीं करता
Woh jis ki chhaav mein pachees saal guzre hain
Woh ped mujh se koi baat kyun nahi karta
--------------------------------------------
इक तिरा हिज्र दाइमी है मुझे
वर्ना हर चीज़ आरज़ी है मुझे
Ik tera hijr daimi hai mujhe
Warna har cheez aarzi hai mujhe
तमाम नाख़ुदा साहिल से दूर हो जाएँ
समुंदरों से अकेले में बात करनी है
Tamaam naakhuda sahil se door ho jaayein
Samundaron se akele mein baat karni hai
--------------------------------------------
पेड़ मुझे हसरत से देखा करते थे
मैं जंगल में पानी लाया करता था
Ped mujhe hasrat se dekha karte the
Main jungle mein paani laaya karta tha
मैं जंगलों की तरफ़ चल पड़ा हूँ छोड़ के घर
ये क्या कि घर की उदासी भी साथ हो गई है
Main jangalon ki taraf chal pada hoon chhod ke ghar
Yeh kya ke ghar ki udaasi bhi saath ho gayi hai
--------------------------------------------
हासिल-ए-कुन है ये जहान-ए-ख़राब
यही मुमकिन था इतनी उजलत में
Hasil-e-kun hai ye jahan-e-khuraab
Yahi mumkin tha itni ujjalt mein
मैं जिस के साथ कई दिन गुज़ार आया हूँ
वो मेरे साथ बसर रात क्यूँ नहीं करता
Main jis ke saath kai din guzar aaya hoon
Woh mere saath basar raat kyun nahi karta
--------------------------------------------
मैं सुख़न में हूँ उस जगह कि जहाँ
साँस लेना भी शाइरी है मुझे
Main sukhun mein hoon us jagah ki jahan
Saansein lena bhi shayari hai mujhe
सहरा से हो के बाग़ में आया हूँ सैर को
हाथों में फूल हैं मिरे पाँव में रेत है
Sahra se ho ke baagh mein aaya hoon sair ko
Haathon mein phool hain, mere paon mein ret hai
--------------------------------------------
इस लिए रौशनी में ठंडक है
कुछ चराग़ों को नम किया गया है
Is liye raushni mein thandak hai
Kuch charaaghon ko nam kiya gaya hai
नींद ऐसी कि रात कम पड़ जाए
ख़्वाब ऐसा कि मुँह खुला रह जाए
Neend aisi ki raat kam pad jaye
Khwab aisa ki munh khula reh jaye
--------------------------------------------
आसमाँ और ज़मीं की वुसअत देख
मैं इधर भी हूँ और उधर भी हूँ
Aasman aur zameen ki wusat dekh
Main idhar bhi hoon aur udhar bhi hoon
मेरी नक़लें उतारने लगा है
आईने का बताओ क्या किया जाए
Meri naqlain utaarne laga hai
Aaine ka batao kya kiya jaye
--------------------------------------------
मुझ पे कितने सानहे गुज़रे पर इन आँखों को क्या
मेरा दुख ये है कि मेरा हम-सफ़र रोता न था
Mujh pe kitne saane guzre par in aankhon ko kya
Mera dukh ye hai ki mera humsafar rota na tha
क्या मुझ से भी अज़ीज़ है तुम को दिए की लौ
फिर तो मेरा मज़ार बने और दिया जले
Kya mujh se bhi azeez hai tum ko diye ki lau
Phir to mera mazaar bane aur diya jale
--------------------------------------------
कोई कमरे में आग तापता हो
कोई बारिश में भीगता रह जाए
Koi kamre mein aag taapta ho
Koi baarish mein bheegta reh jaye
मिरे हाथों से लग कर फूल मिट्टी हो रहे हैं
मिरी आँखों से दरिया देखना सहरा लगेगा
Mere haathon se lag kar phool mitti ho rahe hain
Meri aankhon se darya dekhna sahra lagega
--------------------------------------------
पराई आग पे रोटी नहीं बनाऊँगा
मैं भीग जाऊँगा छतरी नहीं बनाऊँगा
Parai aag pe roti nahi banaunga
Main bheeg jaunga chhatri nahi banaunga
ये ज्योग्राफिया, फ़लसफ़ा, साइकोलाॅजी, साइंस, रियाज़ी वगैरह
ये सब जानना भी अहम है मगर उसके घर का पता जानते हो ?
Yeh geography, philosophy, psychology, science, riyaazi vagairah
Yeh sab jaana bhi aham hai magar uske ghar ka pata jaante ho?
--------------------------------------------
तेरा चुप रहना मेरे ज़ेहन में क्या बैठ गया
इतनी आवाज़ें तुझे दीं कि गला बैठ गया
Tera chup rehna mere zehan mein kya baith gaya
Itni awaazain tujhe dee ki gala baith gaya
यूँ नहीं है कि फ़क़त मैं ही उसे चाहता हूँ
जो भी उस पेड़ की छाँव में गया बैठ गया
Yoon nahin hai ke faqat main hi use chahta hoon
Jo bhi us ped ki chhaav mein gaya, baith gaya
--------------------------------------------
किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में कट रही है
कि ये उदासी हमारे जिस्मों से किस ख़ुशी में लिपट रही है
Kise khabar hai ke umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai
Ke ye udaasi humare jismon se kis khushi mein lipat rahi hai
चेहरा देखें तेरे होंट और पलकें देखें
दिल पे आँखें रक्खें तेरी साँसें देखें
Chehra dekhen tere, hont aur palken dekhen
Dil pe aankhen rakkhen, teri saansen dekhen
--------------------------------------------
ये फ़िल्मों में ही सबको प्यार मिल जाता है आख़िर में
मगर सचमुच में इस दुनिया में ऐसा कुछ नहीं होता
Ye filmon mein hi sabko pyaar mil jaata hai aakhir mein
Magar sach-much mein is duniya mein aisa kuch nahi hota
गले तो लगना है उस से कहो अभी लग जाए
यही न हो मेरा उस के बग़ैर जी लग जाए
Gale to lagna hai us se, kaho abhi lag jaaye,
Yahi na ho mera us ke bagair jee lag jaaye
--------------------------------------------
अब उस जानिब से इस कसरत से तोहफ़े आ रहे हैं
कि घर में हम नई अलमारियाँ बनवा रहे हैं
Ab us jaanib se is kasrat se tohfe aa rahe hain,
Ke ghar mein hum nai almaariyaan banwa rahe hain
तपते सहराओं में सब के सर पे आँचल हो गया
उसने ज़ुल्फ़ें खोल दीं और मसअला हल हो गया
Tapte sehrāon mein sab ke sar pe ānchal ho gayā
Usne zulfēin khol dīn aur mas'ala ḥal ho gayā
--------------------------------------------
मुझे आज़ाद कर दो एक दिन सब सच बता कर
तुम्हारे और उसके दरमियाँ क्या चल रहा है
Mujhe āzād kar do ek din sab sach batā kar
Tumhāre aur uske darmiyān kyā chal rahā hai
क्या ग़लत-फ़हमी में रह जाने का सदमा कुछ नहीं
वो मुझे समझा तो सकता था कि ऐसा कुछ नहीं
Kya ghalat-fehmi mein reh jaane ka sadma kuch nahin
Woh mujhe samajhā to sakta tha ki aisa kuch nahin
--------------------------------------------
उस लड़की से बस अब इतना रिश्ता है
मिल जाए तो बात वगैरा करती है
Us ladki se bas ab itna rishta hai
Mil jaye to baat waghaira karti hai
ज़ेहन से यादों के लश्कर जा चुके
वो मेरी महफ़िल से उठ कर जा चुके
Zehan se yaadon ke lashkar ja chuke
Woh meri mehfil se uth kar ja chuke
--------------------------------------------
इसीलिए तो सबसे ज़्यादा भाती हो
कितने सच्चे दिल से झूठी क़समें खाती हो
Isliye to sabse zyada bhaati ho
Kitne sachche dil se jhoothi qasme khaati ho
I love to see you feedback here for improvement for this page for good shayari collection
chetan.yamger@gmail.com
Copyright © 2018 Ek Nazariya - All Rights Reserved.