पानी आँख में भर कर लाया जा सकता है
अब भी जलता शहर बचाया जा सकता है
एक मोहब्बत और वो भी नाकाम मोहब्बत
लेकिन इस से काम चलाया जा सकता है
दिल पर पानी पीने आती हैं उम्मीदें
इस चश्मे में ज़हर मिलाया जा सकता है
Paani aankh mein bhar kar laaya jaa sakta hai
Ab bhi jalta sheher bachaya jaa sakta hai
Ek mohabbat aur woh bhi nakaam mohabbat
Lekin iss se kaam chalaya jaa sakta hai
Dil par paani peene aati hain ummeedein
Iss chashme mein zeher milaya jaa sakta hai
अपने शहर में ऐसे बेगाने हम न थे
थे लोग बहुत जाने पहचाने कम न थे
थी रौनकें बाजार में गलियां भरी भरी
आपस में एक दूजे से अनजाने हम न थे
मिलते थे गर्मजोशी से बाहें उछाल कर
अपने भी दोस्तों में दीवाने कम न थे
होती थी चाय घरों में बेबाक गुफ्तगू
हम सबके अपने अपने अफसाने कम न थे
इंसानियत के रिश्तों में फिर से दरार है
पहले से ही दुनिया में ये खाने कम न थे
Apne sheher mein aise begaane hum na the
The log bahut jaane pehchaane kam na the
Thi raunaqein bazaar mein galiyan bhari bhari
Aapas mein ek dooje se anjaane hum na the
Milte the garamjoshi se bahein uchaal kar
Apne bhi doston mein deewane kam na the
Hoti thi chai gharon mein bebaak guftagu
Hum sabke apne apne afsaane kam na the
Insaniyat ke rishton mein phir se daraar hai
Pehle se hi duniya mein ye khaane kam na the
अब किसी #आँखकाकाजल हमें #आवाज़ ना दे..
हम हैं #ख़ामोश तो ख़ामोश ही रहने दो #हमें...
Ab kisi #aankhkajal humein #awaaz na de...
Hum hain #khaamosh toh khaamosh hi rehne do #humein...
बिछड़ जाऊ तो फिर, रिश्ता तेरी यादों से जोड़ूँगा
मुझे ज़िद है,मैं जीने का कोई मौका न छोड़ूँगा
मोहब्बत में तलब कैसी,वफ़ादारी की शर्ते क्या
वो मेरा हो न हो,मैं तो उसी का हो के छोड़ूँगा
ताल्लुक़ टूट जाने पर,जो मुश्किल में तुझे डाले
मैं अपनी आँख में,ऐसा कोई आंसू ना छोड़ूँगा
Bichhad jaoon toh phir, rishta teri yaadon se jodoonga
Mujhe zid hai, main jeene ka koi mauka na chhodoonga
Mohabbat mein talab kaisi, wafadaari ki shartein kya
Woh mera ho na ho, main toh usi ka ho ke chhodoonga
Talluq toot jaane par, jo mushkil mein tujhe daale
Main apni aankh mein, aisa koi aansoo na chhodoonga
क़िस्मत में लिखा था सामना दर्द से होना
तू ना मिलता तो किसी और से बिछड़े होते
Qismat mein likha tha saamna dard se hona
Tu na milta toh kisi aur se bichhadte hote
मुझे इक भीड़ ने मारा है मिलकर
कोई भी अब मेरा क़ातिल नही है
Mujhe ek bheed ne maara hai milkar
Koi bhi ab mera qaatil nahi hai
किसी के हक़ में किसी के ख़िलाफ़ लिख दूँगा
मैं तो आइना हूँ जो देखूँगा साफ़ लिख दूँगा
Kisi ke haq mein kisi ke khilaaf likh doonga
Main toh aaina hoon jo dekhoonga saaf likh doonga
वो शक्स मेरी हर कहानी हर किससे में आया
जो मेरा होकर भी मेरे हिस्से में ना आया
Woh shakhs meri har kahani har kisse mein aaya
Jo mera hokar bhi mere hisse mein na aaya
ना जाने किस मिट्टी को मेरे वजूद की खवाईस थी
मैं उतना तो बना भी ना था जितना मिटा दिया गया हूँ
Na jaane kis mitti ko mere wajood ki khwaahish thi
Main utna toh bana bhi na tha jitna mita diya gaya hoon
जो तुझमें -मुझमें चला आ रहा है बरसों से
कहीं ज़िंदगी उसी फ़ासले का नाम तो नहीं
Jo tujh mein - mujh mein chala aa raha hai barson se
Kahin zindagi ussi faasle ka naam toh nahi
उमेर की सारी थकान लाद के घर जाता हूँ
रात बिस्तर पर सोता नही मर जाता हूँ
अकसर रात भरे शहर के सन्नाटे में
इस क़दर जोर से हँसता हूँ के डर जाता हूँ
मेरे आने की खबर सिर्फ़ दीया रखता है
मैं हवाओं की तरह आकार गुज़र जाता हूँ
दिल तहर जाता है भूली हुई मंजिल में कहीं
मैं किसी दूसरे रास्ते से गुज़र जाता हूँ
सिमता रहता हूँ बहुत हल्कें अहबाब में मैं
चार दीवारी में आते ही बिख़र जाता हूँ
मैंने अपने ख़िलाफ़ खुद गवाही दी है
ग़र तेरे हक़ में नहीं है तो मुकर जाता हूँ
Umar ki saari thakaan laad ke ghar jaata hoon
Raat bistar par sota nahi mar jaata hoon
Aksar raat bhare sheher ke sannate mein
Iss qadar zor se hansta hoon ke dar jaata hoon
Mere aane ki khabar sirf diya rakhta hai
Main hawaon ki tarah aakar guzar jaata hoon
Dil thahar jaata hai bhoole huye manzil mein kahin
Main kisi doosre raaste se guzar jaata hoon
Simta rehta hoon bahut halke ahbaab mein main
Chaar diwaari mein aate hi bikhar jaata hoon
Maine apne khilaaf khud gawaahi di hai
Gar tere haq mein nahi hai toh mukar jaata hoon
बिछड़ते वक्त मेरे हर एक ऐब गिनाए उसने मुझे
सोच रहा हूँ जब मिला था उससे तब कौन सा हुनर था मुझमें
Bichhadte waqt mere har ek aib ginaaye usne mujhe
Soch raha hoon jab mila tha usse tab kaun sa hunar tha mujh mein
दर्द मुझको घेर लेता है रोज़ नए बहने से
क्या वो बकिफ हो गया है मेरे हर ठिकाने से
Dard mujhko gher leta hai roz naye bahaane se
Kya woh waaqif ho gaya hai mere har thikaane se
ज़िन्दगी सुन तू यही पे रुकना,
हम हालात बदल के आते है.
Zindagi sun tu yahin pe rukna,
Hum haalaat badal ke aate hain
तेरा हर अन्दाज़ अच्छें है
सिवाये मूझे नज़रंदाज़ करने से
Tera har andaaz achha hai
Siwaye mujhe nazarandaaz karne se
चित्रकार तूजको उस्ताद मानूँगा
ग़र दर्द भी खिंच मेरी तस्वीर के साथ
Chitrakaar tujhe ustaad maanoonga
Gar dard bhi kheenche meri tasveer ke saath
साया हूँ तो साथ ना रखने कि वज़ह क्या
पत्थर हूँ तो रास्ते से हटा क्यूँ नहीं देते
Saaya hoon toh saath na rakhne ki wajah kya
Patthar hoon toh raaste se hata kyun nahi dete
इस अजनबी शहर में करूँगा मैं और क्या,
रूठूँगा अपने आपसे ख़ुद को मनाऊँगा ll
Iss ajnabi sheher mein karunga main aur kya,
Roothoonga apne aapse khud ko manaaoonga
क्यूँ शर्मिंदा करते हो रोज, हाल हमारा पूँछ कर ,
हाल हमारा वही है जो तुमने बना रखा हैं...
Kyun sharminda karte ho roz, haal humara poochh kar,
Haal humara wahi hai jo tumne bana rakha hai...
I love to see you feedback here for improvement for this page
chetan.yamger@gmail.com
Copyright © 2018 Ek Nazariya - All Rights Reserved.
Designed by Chetan Yamger