हम को यारों ने याद भी न रखा
'जौन' यारों के यार थे हम तो
Hum ko yaaron ne yaad bhi na rakha
'Jaun' yaaron ke yaar the hum to
मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला
Mohabbaton mein dikhave ki dosti na mila,
agar gale nahin milta to haath bhi na mila.
दोस्ती जब किसी से की जाए
दुश्मनों की भी राय ली जाए
Dosti jab kisi se ki jaaye,
dushmanon ki bhi raay li jaaye.
अगर तुम्हारी अना ही का है सवाल तो फिर
चलो मैं हाथ बढ़ाता हूँ दोस्ती के लिए
Agar tumhaari ana hi ka hai sawaal to phir,
chalo main haath badhaata hoon dosti ke liye.
---------------------------------------------
दुश्मनों से प्यार होता जाएगा
दोस्तों को आज़माते जाइए
Dushmanon se pyaar hota jaayega,
doston ko aazmaate jaaiye.
भूल शायद बहुत बड़ी कर ली
दिल ने दुनिया से दोस्ती कर ली
Bhool shayad bahut badi kar li,
dil ne duniya se dosti kar li.
---------------------------------------------
दुश्मनों ने जो दुश्मनी की है
दोस्तों ने भी क्या कमी की है
Dushmanon ne jo dushmani ki hai,
doston ne bhi kya kami ki hai.
पत्थर तो हज़ारों ने मारे थे मुझे लेकिन
जो दिल पे लगा आ कर इक दोस्त ने मारा है
Patthar to hazaaron ne maare the mujhe lekin,
jo dil pe laga aa kar ik dost ne maara hai
---------------------------------------------
लोग डरते हैं दुश्मनी से तिरी
हम तिरी दोस्ती से डरते हैं
Log darte hain dushmani se teri,
hum teri dosti se darte hain.
मैं अब हर शख़्स से उक्ता चुका हूँ
फ़क़त कुछ दोस्त हैं और दोस्त भी क्या
Main ab har shakhs se ukta chuka hoon,
faqat kuch dost hain... aur dost bhi kya.
---------------------------------------------
दोस्ती ख़्वाब है और ख़्वाब की ता'बीर भी है
रिश्ता-ए-इश्क़ भी है याद की ज़ंजीर भी है
Dosti khwaab hai aur khwaab ki tabeer bhi hai,
Rishta-e-ishq bhi hai yaad ki zanjeer bhi hai.
हटाए थे जो राह से दोस्तों की
वो पत्थर मिरे घर में आने लगे हैं
Hataaye the jo raah se doston ki,
wo patthar mere ghar mein aane lage hain.
---------------------------------------------
ख़ुदा के वास्ते मौक़ा न दे शिकायत का
कि दोस्ती की तरह दुश्मनी निभाया कर
Khuda ke waaste moqa na de shikayat ka,
ki dosti ki tarah dushmani nibhaaya kar.
ऐ दोस्त तुझ को रहम न आए तो क्या करूँ
दुश्मन भी मेरे हाल पे अब आब-दीदा है
Ae dost tujh ko rahm na aaye to kya karoon,
dushman bhi mere haal pe ab aab-deeda hai.
---------------------------------------------
तोड़ कर आज ग़लत-फ़हमी की दीवारों को
दोस्तो अपने तअ'ल्लुक़ को सँवारा जाए
Tod kar aaj ghalat-fahmi ki deewaron ko,
doston apne ta'alluq ko sanwara jaaye.
ज़िक्र मेरा आएगा महफ़िल में जब जब दोस्तो
रो पड़ेंगे याद कर के यार सब यारी मिरी
Zikr mera aayega mehfil mein jab jab doston,
ro padenge yaad kar ke yaar sab yaari meri.
---------------------------------------------
"I would love to hear your feedback on how we can improve this page and make it an even better collection of shayari. Your suggestions and ideas are invaluable to us!"
chetan.yamger@gmail.com
Copyright © 2018 Ek Nazariya - All Rights Reserved.