ये कहना था उन से मोहब्बत है मुझ को
ये कहने में मुझ को ज़माने लगे हैं
Ye kehna tha un se mohabbat hai mujh ko
Ye kehne mein mujh ko zamane lage hain
मुझे अब तुम से डर लगने लगा है
तुम्हें मुझ से मोहब्बत हो गई क्या
Mujhe ab tum se dar lagne laga hai
Tumhein mujh se mohabbat ho gayi kya
बात मुकद्दर पर आकर रुकी है,
वरना कोई कसर तो न छोड़ी थी तुम्हें चाहने में।
Baat muqaddar par aa kar ruki hai. warna Koi kasar to na chori thi tujhe chahney mein
होश वालों को ख़बर क्या बे-ख़ुदी क्या चीज़ है
इश्क़ कीजे फिर समझिए ज़िंदगी क्या चीज़ है
Hosh walon ko khabar kya, be-khudi kya cheez hai
Ishq kije phir samajhiye, zindagi kya cheez hai
---------------------------------------------
मैं वहाँ भी जाकर माँग लूँ तुझे,
कोई बता तो दे कि किस्मत के फ़ैसले कहाँ होते हैं..!!
Mai waha bhi jakar mang Lu tujhe,
Koi bata to de ki kismat ke faisle kaha hote hai..!!
अजीब सी बेताबी है तेरे बिना,
रह भी लेते है और रहा भी नही जाता…..!!!
Ajeeb si betaabi hai tere bina,
Reh bhi lete hain aur raha bhi nahi jaata...!!!
---------------------------------------------
तेरे हुस्न को परदे की ज़रुरत ही क्या है,
कौन होश में रहता है तुझे देखने के बाद…....!!!
Tere husn ko parde ki zaroorat hi kya hai,
Kaun hosh mein rehta hai tujhe dekhne ke baad…....!!!
---------------------------------------------
सारी दुनियां के रिवाजों से बगावत की थी,
तुमको याद है ना जब मैंने मोहब्बत की थी.
Saari duniya ke riwaazon se baghaavat ki thi,
Tumko yaad hai na jab maine mohabbat ki thi.
कोई पूछ रहा हे मुझसे मेरी जिंदगी की कीमत…
मुझे याद आ रहा हैं तेरे हल्के से मुस्कुराना…
Koi pooch raha hai mujhse meri zindagi ki keemat...
Mujhe yaad aa raha hai tere halke se muskurana...
---------------------------------------------
मै उसको चाँद कह दू ये मुमकिन तो है,
मगर... लोग उसे रात भर देखें ये मुझे गवारा नहीं…..!!!
Main usko chaand keh du ye mumkin to hai,
Magar... log use raat bhar dekhein ye mujhe gawara nahi…..!!!
---------------------------------------------
मैने करवट बदल कर भी देखा है,
याद तुम उस तरफ भी आते हो
Maine karwat badal kar bhi dekha hai,
Yaad tum us taraf bhi aate ho.
तु मिल गई है तो मुझ पे नाराज है खुदा,
कहता है की तु अब कुछ माँगता नहीं है.....!!!
Tu mil gayi hai to mujh pe naraaz hai Khuda,
Kehta hai ki tu ab kuch maangta nahi hai.....!!!
---------------------------------------------
हमें आदत नहीं हर एक पे मर मिटने की,
तुझे में बात ही कुछ ऐसी थी दिल ने सोचने की मोहलत ना दी.....!!!
Humein aadat nahi har ek pe mar mitne ki,
Tujhmein baat hi kuch aisi thi dil ne sochne ki mohlat na di.....!!!
---------------------------------------------
जा बिछड़ जा, मगर ख्याल रहे,
फिर ये ना हो के उम्र भर मलाल रहे.
Ja bichhad ja, magar khayaal rahe,
Phir ye na ho ke umr bhar malaal rahe. $
परवाह तेरी ही करते है वरना,
फ़िक्र तो हम खुद की भी नही करते.
Parwah teri hi karte hain warna,
Fikr to hum khud ki bhi nahi karte.
---------------------------------------------
ऐ जुनूँ फिर मिरे सर पर वही शामत आई
फिर फँसा ज़ुल्फ़ों में दिल फिर वही आफ़त आई
Ai junoon phir mere sar par wahi shaamat aayi,
Phir fasa zulfon mein dil phir wahi aafat aayi.
तेरी आंखे भी क्या मुसीबत है,
मैं कोई बात कहने आया था.
Teri aankhen bhi kya museebat hain,
Main koi baat kehne aaya tha.
---------------------------------------------
एक चेहरा है जो आँखों में बसा रहता है
इक तसव्वुर है जो तन्हा नहीं होने देता
Ek chehra hai jo aankhon mein basa rehta hai,
Ik tasavvur hai jo tanha nahi hone deta.
महक रही है ज़मीं चाँदनी के फूलों से
ख़ुदा किसी की मोहब्बत पे मुस्कुराया है
Mahak rahi hai zameen chaandani ke phoolon se,
Khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai.
---------------------------------------------
हम ने उस को इतना देखा जितना देखा जा सकता था
लेकिन फिर भी दो आँखों से कितना देखा जा सकता था
Hum ne usko itna dekha jitna dekha ja sakta tha,
Lekin phir bhi do aankhon se kitna dekha ja sakta tha.
क्यूँ मेरी तरह रातों को रहता है परेशाँ
ऐ चाँद बता किस से तिरी आँख लड़ी है
Kyun meri tarah raaton ko rehta hai pareshan,
Ai chaand bata kis se teri aankh ladi hai.
---------------------------------------------
शाम ढले ये सोच के बैठे हम अपनी तस्वीर के पास
सारी ग़ज़लें बैठी होंगी अपने अपने मीर के पास
Shaam dhale ye soch ke baithe hum apni tasveer ke paas,
Saari ghazlein baithi hongi apne apne Meer ke paas.
दिल में किसी के राह किए जा रहा हूँ मैं
कितना हसीं गुनाह किए जा रहा हूँ मैं
Dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main,
Kitna haseen gunaah kiye ja raha hoon main.
---------------------------------------------
न जी भर के देखा न कुछ बात की
बड़ी आरज़ू थी मुलाक़ात की
Na ji bhar ke dekha na kuch baat ki,
Badi aarazu thi mulaqat ki.
बात मुकद्दर पर आकर रुकी है,
वरना कोई कसर तो न छोड़ी थी तुम्हें चाहने में।
Baat muqaddar par aa kar ruki hai. warna Koi kasar to na chori thi tujhe chahney mein
---------------------------------------------
वोह जब करीब से हंस कर गुजर गए
कुछ खास दोस्तों के भी चेहरे उतर गए…..
Woh jab qareeb se hans kar guzar gaye,
Kuch khaas doston ke bhi chehre utar gaye...
फिर उसने मुस्कुरा के देखा मेरी तरफ़
फिर एक ज़रा सी बात पर जीना पड़ा मुझे।
Phir usne muskurake dekha meri taraf,
Phir ek zara si baat par jeena pada mujhe.
---------------------------------------------
और होंगे तिरी महफ़िल से उभरने वाले
हज़रत-ए-'दाग़' जहाँ बैठ गए बैठ गए
Aur honge teri mehfil se ubharne wale,
Hazrat-e-'Daagh' jahan baith gaye, baith gaye...
मोहब्बत की आजमाइश दे दे कर थक गया हूँ ऐ खुदा;
किस्मत मेँ कोई ऐसा लिख दे, जो मौत तक वफा करे..
Mohabbat ki aazmaish de de kar thak gaya hoon, ai Khuda;
Kismat mein koi aisa likh de, jo maut tak wafa kare...
---------------------------------------------
अच्छा ख़ासा बैठे बैठे गुम हो जाता हूँ
अब मैं अक्सर मैं नहीं रहता तुम हो जाता हूँ
Accha khaasa baithe baithe gum ho jaata hoon,
Ab main aksar main nahi rehta, tum ho jaata hoon...
आप पहलू में जो बैठें तो सँभल कर बैठें
दिल-ए-बेताब को आदत है मचल जाने की
Aap pehlu mein jo baithein to sambhal kar baithein,
Dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane ki...
---------------------------------------------
आते आते मिरा नाम सा रह गया
उस के होंटों पे कुछ काँपता रह गया
Aate aate mera naam sa reh gaya,
Uske honton pe kuch kaampta reh gaya...
अंदाज़ अपना देखते हैं आईने में वो
और ये भी देखते हैं कोई देखता न हो
Andaaz apna dekhte hain aaine mein wo,
Aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho...
---------------------------------------------
अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपाएँ कैसे
तेरी मर्ज़ी के मुताबिक़ नज़र आएँ कैसे
Apne chehre se jo zaahir hai chhupayein kaise,
Teri marzi ke mutabiq nazar aayein kaise...
बड़ा शोर सुनते थे पहलू में दिल का
जो चीरा तो इक क़तरा-ए-ख़ूँ न निकला
Bada shor sunte the pehlu mein dil ka,
Jo cheera to ik qatra-e-khoon na nikla...
---------------------------------------------
बहुत दिनों में मोहब्बत को ये हुआ मा'लूम
जो तेरे हिज्र में गुज़री वो रात रात हुई
Bahut dinon mein mohabbat ko ye hua ma'loom
Jo tere hijr mein guzri wo raat raat hui
आप पहलू में जो बैठें तो सँभल कर बैठें
दिल-ए-बेताब को आदत है मचल जाने की
Aap pehlu mein jo baithein to sambhal kar baithein,
Dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane ki...
---------------------------------------------
आते आते मिरा नाम सा रह गया
उस के होंटों पे कुछ काँपता रह गया
Aate aate mera naam sa reh gaya,
Uske honton pe kuch kaampta reh gaya...
"I would love to hear your feedback on how we can improve this page and make it an even better collection of shayari. Your suggestions and ideas are invaluable to us!"
chetan.yamger@gmail.com
Copyright © 2018 Ek Nazariya - All Rights Reserved.