Jaun Elia was a famous Urdu poet, born in 1931 in Amroha, India, and later moved to Pakistan. He is loved for his deep, emotional, and honest poetry. His words often talk about love, pain, loneliness, and the struggles of life.
Jaun was different from other poets. He spoke from the heart and never tried to hide his feelings. His poetry is strong, bold, and full of meaning. Even when he was hurting inside, he turned his pain into beautiful poetry.
Some of his most popular books are "Shayad", "Yani", and "Gumaan". Many people, especially the younger generation, connect with his poetry because it feels real and true.
Though Jaun faced many difficulties in life, he left behind words that still touch hearts today. He is remembered as one of the greatest poets in Urdu literature.
मैं भी बहुत अजीब हूँ इतना अजीब हूँ कि बस
ख़ुद को तबाह कर लिया और मलाल भी नहीं
Main bhi bahut ajeeb hoon itna ajeeb hoon ke bas
Khud ko tabah kar liya aur malaal bhi nahin.
--------------------------------------------
मैं भी बहुत अजीब हूँ इतना अजीब हूँ कि बस
ख़ुद को तबाह कर लिया और मलाल भी नहीं
Main bhi bahut ajeeb hoon itna ajeeb hoon ke bas
Khud ko tabah kar liya aur malaal bhi nahin.
--------------------------------------------
जो गुज़ारी न जा सकी हम से
हम ने वो ज़िंदगी गुज़ारी है
Jo guzari na ja saki hum se
Hum ne wo zindagi guzari ha
ये मुझे चैन क्यूँ नहीं पड़ता
एक ही शख़्स था जहान में क्या
Ye mujhe chain kyun nahi padta
Ek hi shakhs tha jahan mein kya
--------------------------------------------
मैं जो हूँ 'जौन-एलिया' हूँ जनाब
इस का बेहद लिहाज़ कीजिएगा
Main jo hoon 'Jaun Elia' hoon janaab
Iska be-had lehaaz kijiye-ga
कितनी दिलकश हो तुम कितना दिल-जू हूँ मैं
क्या सितम है कि हम लोग मर जाएँगे
Kitni dilkash ho tum kitna dil-ju hoon main
Kya sitam hai ke hum log mar jaayenge
--------------------------------------------
कौन इस घर की देख-भाल करे
रोज़ इक चीज़ टूट जाती है
Kaun is ghar ki dekh-bhaal kare
Roz ik cheez toot jaati hai
बहुत नज़दीक आती जा रही हो
बिछड़ने का इरादा कर लिया क्या
Bahut nazdeek aati ja rahi ho
Bichhadne ka iraada kar liya kya
--------------------------------------------
कैसे कहें कि तुझ को भी हम से है वास्ता कोई
तू ने तो हम से आज तक कोई गिला नहीं किया
Kaise kahen ke tujh ko bhi hum se hai waasta koi
Tu ne to hum se aaj tak koi gila nahi kiya
क्या कहा इश्क़ जावेदानी है!
आख़िरी बार मिल रही हो क्या
Kya kaha ishq jaavedani hai!
Aakhiri baar mil rahi ho kya
--------------------------------------------
इलाज ये है कि मजबूर कर दिया जाऊँ
वगरना यूँ तो किसी की नहीं सुनी मैं ने
Ilaaj ye hai ke majboor kar diya jaaun
Wagarna yun to kisi ki nahi suni main ne
उस गली ने ये सुन के सब्र किया
जाने वाले यहाँ के थे ही नहीं
Us gali ne ye sun ke sabr kiya
Jaane wale yahan ke the hi nahi
--------------------------------------------
हासिल-ए-कुन है ये जहान-ए-ख़राब
यही मुमकिन था इतनी उजलत में
Hasil-e-kun hai ye jahan-e-khuraab
Yahi mumkin tha itni ujjalt mein
मेरी बाँहों में बहकने की सज़ा भी सुन ले
अब बहुत देर में आज़ाद करूँगा तुझ को
Meri baahon mein behkne ki sazaa bhi sun le
Ab bohot der mein azaad karunga tujh ko
--------------------------------------------
अब जो रिश्तों में बँधा हूँ तो खुला है मुझ पर
कब परिंद उड़ नहीं पाते हैं परों के होते
Ab jo rishton mein bandha hoon to khula hai mujh par
Kab parinday ud nahi paate hain paro ke hote
हर शख़्स से बे-नियाज़ हो जा
फिर सब से ये कह कि मैं ख़ुदा हूँ
Har shakhs se be-niyaz ho ja
Phir sab se ye keh ke main Khuda hoon
--------------------------------------------
आज बहुत दिन ब'अद मैं अपने कमरे तक आ निकला था
जूँ ही दरवाज़ा खोला है उस की ख़ुश्बू आई है
Aaj bohot din ba'ad main apne kamre tak aa nikla tha
Joon hi darwaza khola hai uski khushboo aayi hai
अब तो उस के बारे में तुम जो चाहो वो कह डालो
वो अंगड़ाई मेरे कमरे तक तो बड़ी रूहानी थी
Ab to us ke baare mein tum jo chaho wo keh daalo
Wo angdaai mere kamre tak to badi roohani thi
--------------------------------------------
ये वार कर गया है पहलू से कौन मुझ पर
था मैं ही दाएँ बाएँ और मैं ही दरमियाँ था
Ye vaar kar gaya hai pehlu se kaun mujh par
Tha main hi daaye baaye aur main hi darmiyan tha
सारी गली सुनसान पड़ी थी बाद-ए-फ़ना के पहरे में
हिज्र के दालान और आँगन में बस इक साया ज़िंदा था
Saari gali sunsaan padi thi baad-e-fana ke pahre mein
Hijr ke daalaan aur aangan mein bas ik saaya zinda tha
--------------------------------------------
इक अजब आमद-ओ-शुद है कि न माज़ी है न हाल
'जौन' बरपा कई नस्लों का सफ़र है मुझ में
Ik ajab aamad-o-shud hai ke na mazi hai na haal
'Jaun' barpa kai naslon ka safar hai mujh mein
हमला है चार सू दर-ओ-दीवार-ए-शहर का
सब जंगलों को शहर के अंदर समेट लो
Hamla hai chaar soo dar-o-deewar-e-shahr ka
Sab janglon ko shahr ke andar sameet lo
--------------------------------------------
मेरे सब यार काम कर रहे हैं,
और हम हैं कि नाम कर रहे हैं।
Mere sab yaar kaam kar rahe hain,
Aur hum hain ki naam kar rahe hain।
तुम जब आओगी तो खोया हुआ पाओगी मुझे,
मेरी तन्हाई में ख्वाबों के सिवा कुछ भी नहीं।
Tum jab aogi to khoya hua paogi mujhe,
Meri tanhaai mein khwabon ke siwa kuch bhi nahi।
--------------------------------------------
वो जो ना आने वाला है ना उस से मुझ को मतलब था,
आने वालों से क्या मतलब, आते हैं आते होंगे।
Woh jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha,
Aane walon se kya matlab, aate hain aate honge।
मुझ से अब लोग कम ही मिलते हैं,
यूँ भी मैं हट गया हूँ मंजर से।
Mujh se ab log kam hi milte hain,
Yoon bhi main hat gaya hoon manzar se।
--------------------------------------------
कितने ऐश से रहते होंगे, कितने इतराते होंगे,
जाने कैसे लोग वो होंगे जो उस को भाते होंगे।
Kitne aish se rehte honge, kitne itraate honge,
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge.
सोचूँ तो सारी उम्र मोहब्बत में कट गई,
देखूँ तो एक शख्स भी मेरा नहीं हुआ।
Sochoon to saari umr mohabbat mein kat gayi,
Dekhoon to ek shakhs bhi mera nahin hua।
--------------------------------------------
अब मैं सारे जहाँ में हूँ बदनाम,
अब भी तुम मुझ को जानती हो क्या?
Ab main saare jahaan mein hoon badnaam,
Ab bhi tum mujh ko jaanti ho kya?
तुझ को भूला नहीं वो शख्स,
जो तेरी बाहों में भी अकेला था।
Tujh ko bhoola nahin wo shakhs,
Jo teri baahon mein bhi akela tha।
--------------------------------------------
मेरी बाहों में बहकने की सजा भी सुन ले,
अब बहुत देर में आज़ाद करूँगा तुझ को।
Meri baahon mein behakne ki saza bhi sun le,
Ab bahut der mein aazaad karunga tujh ko।
गवायी किस तमन्ना में ज़िंदगी मैंने,
वो कौन है जिसे देखा नहीं कभी मैंने।
Gawayi kis tamanna mein zindagi maine,
Woh kaun hai jise dekha nahi kabhi maine।
--------------------------------------------
क्या तकल्लुफ़ करें ये कहने में
जो भी ख़ुश है हम उस से जलते हैं
Kya takalluf karein ye kehne mein,
Jo bhi khush hai hum usse jalte hain
I love to see you feedback here for improvement for this page for good shayari collection
chetan.yamger@gmail.com
Copyright © 2018 Ek Nazariya - All Rights Reserved.