"कभी कभी तो छलक पड़ती हैं यूँही आँखें
उदास होने का कोई सबब नहीं होता"
"Kabhi kabhi to chalak padti hain yunhi aankhen
Udaas hone ka koi sabab nahi hota"
लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में
तुम तरस नहीं खाते बस्तियाँ जलाने में
और जाम टूटेंगे इस शराब-ख़ाने में
मौसमों के आने में मौसमों के जाने में
हर धड़कते पत्थर को लोग दिल समझते हैं
उम्रें बीत जाती हैं दिल को दिल बनाने में
फ़ाख़्ता की मजबूरी ये भी कह नहीं सकती
कौन साँप रखता है उस के आशियाने में
दूसरी कोई लड़की ज़िंदगी में आएगी
कितनी देर लगती है उस
लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में
तुम तरस नहीं खाते बस्तियाँ जलाने में
और जाम टूटेंगे इस शराब-ख़ाने में
मौसमों के आने में मौसमों के जाने में
हर धड़कते पत्थर को लोग दिल समझते हैं
उम्रें बीत जाती हैं दिल को दिल बनाने में
फ़ाख़्ता की मजबूरी ये भी कह नहीं सकती
कौन साँप रखता है उस के आशियाने में
दूसरी कोई लड़की ज़िंदगी में आएगी
कितनी देर लगती है उस को भूल जाने में
*************************************
Log toot jaate hain ek ghar banane mein
Tum taras nahi khaate bastiyan jalaane mein
Aur jaam tooten ge is sharaab-khane mein
Mausamon ke aane mein mausamon ke jaane mein
Har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain
Umeren beet jaati hain dil ko dil banane mein
Fakhta ki majboori ye bhi keh nahi sakti
Kaun saanp rakhta hai uske aashiyaane mein
Doosri koi ladki zindagi mein aayegi
Kitni der lagti hai usko bhool jaane mein
अगर तलाश करूँ कोई मिल ही जाएगा
मगर तुम्हारी तरह कौन मुझ को चाहेगा
तुम्हें ज़रूर कोई चाहतों से देखेगा
मगर वो आँखें हमारी कहाँ से लाएगा
न जाने कब तिरे दिल पर नई सी दस्तक हो
मकान ख़ाली हुआ है तो कोई आएगा
मैं अपनी राह में दीवार बन के बैठा हूँ
अगर वो आया तो किस रास्ते से आएगा
तुम्हारे साथ ये मौसम फ़रिश्तों जैसा है
अगर तलाश करूँ कोई मिल ही जाएगा
मगर तुम्हारी तरह कौन मुझ को चाहेगा
तुम्हें ज़रूर कोई चाहतों से देखेगा
मगर वो आँखें हमारी कहाँ से लाएगा
न जाने कब तिरे दिल पर नई सी दस्तक हो
मकान ख़ाली हुआ है तो कोई आएगा
मैं अपनी राह में दीवार बन के बैठा हूँ
अगर वो आया तो किस रास्ते से आएगा
तुम्हारे साथ ये मौसम फ़रिश्तों जैसा है
तुम्हारे बा'द ये मौसम बहुत सताएगा
*************************************
Agar talaash karun koi mil hi jaayega
Magar tumhaari tarah kaun mujhko chahega
Tumhein zaroor koi chaahaton se dekhega
Magar wo aankhen humaari kahan se laayega
Na jaane kab tire dil par nai si dastak ho
Makaan khaali hua hai to koi aayega
Main apni raah mein deewaar ban ke baitha hoon
Agar wo aaya to kis raaste se aayega
Tumhaare saath ye mausam farishton jaisa hai
Tumhaare baad ye mausam bahut sataayega
अगर यक़ीं नहीं आता तो आज़माए मुझे
वो आइना है तो फिर आइना दिखाए मुझे
अजब चराग़ हूँ दिन रात जलता रहता हूँ
मैं थक गया हूँ हवा से कहो बुझाए मुझे
मैं जिस की आँख का आँसू था उस ने क़द्र न की
बिखर गया हूँ तो अब रेत से उठाए मुझे
बहुत दिनों से मैं इन पत्थरों में पत्थर हूँ
कोई तो आए ज़रा देर को रुलाये मुझे
मैं चाहता हूँ कि तुम ही मुझे इजाज़त दो
तुम्हारी
अगर यक़ीं नहीं आता तो आज़माए मुझे
वो आइना है तो फिर आइना दिखाए मुझे
अजब चराग़ हूँ दिन रात जलता रहता हूँ
मैं थक गया हूँ हवा से कहो बुझाए मुझे
मैं जिस की आँख का आँसू था उस ने क़द्र न की
बिखर गया हूँ तो अब रेत से उठाए मुझे
बहुत दिनों से मैं इन पत्थरों में पत्थर हूँ
कोई तो आए ज़रा देर को रुलाये मुझे
मैं चाहता हूँ कि तुम ही मुझे इजाज़त दो
तुम्हारी तरह से कोई गले लगाए मुझे
*************************************
Agar yaqeen nahi aata to aazmaa lo mujhe
Wo aaina hai to phir aaina dikhaaye mujhe
Ajab charaagh hoon din raat jalta rehta hoon
Main thak gaya hoon hawa se kaho bujhaaye mujhe
Main jis ki aankh ka aansu tha usne qadr na ki
Bikhar gaya hoon to ab ret se uthaaye mujhe
Bahut dinon se main in pattharon mein patthar hoon
Koi to aaye zara der ko rulaaye mujhe
Main chahta hoon ke tum hi mujhe ijaazat do
Tumhaari tarah se koi gale lagaaye mujhe
अच्छा तुम्हारे शहर का दस्तूर हो गया
जिस को गले लगा लिया वो दूर हो गया
काग़ज़ में दब के मर गए कीड़े किताब के
दीवाना बे-पढ़े-लिखे मशहूर हो गया
महलों में हम ने कितने सितारे सजा दिए
लेकिन ज़मीं से चाँद बहुत दूर हो गया
तन्हाइयों ने तोड़ दी हम दोनों की अना!
आईना बात करने पे मजबूर हो गया
दादी से कहना उस की कहानी सुनाइए
जो बादशाह इश्क़ में मज़दूर हो गया
सुब्ह-ए-विसाल पूछ रही है अजब सवाल
वो पास आ गया कि बहुत दूर हो गया
कुछ फल ज़रूर आएँगे रोटी के पेड़ में
जिस दिन मिरा मुतालबा मंज़ूर हो गया
*************************************
Achha tumhaare shehar ka dastoor ho gaya
Jis ko gale laga liya wo door ho gaya
Kaagaz mein dab ke mar gaye keede kitaab ke
Deewaana be-padhe-likhe mashhoor ho gaya
Mehlo mein hum ne kitne sitaare saja diye
Lekin zameen se chaand bahut door ho gaya
Tanhaaiyon ne tod di hum dono ki ana
Aaina baat karne pe majboor ho gaya
Daadi se kehna us ki kahaani sunaaiye
Jo baadshah ishq mein mazdoor ho gaya
Subh-e-wisaal poochh rahi hai ajab sawaal
Wo paas aa gaya ki bahut door ho gaya
Kuch phal zaroor aayenge roti ke ped mein
Jis din mera mutaalaba manzoor ho gaya
अगर यक़ीं नहीं आता तो आज़माए मुझे
वो आइना है तो फिर आइना दिखाए मुझे
अजब चराग़ हूँ दिन रात जलता रहता हूँ
मैं थक गया हूँ हवा से कहो बुझाए मुझे
मैं जिस की आँख का आँसू था उस ने क़द्र न की
बिखर गया हूँ तो अब रेत से उठाए मुझे
बहुत दिनों से मैं इन पत्थरों में पत्थर हूँ
कोई तो आए ज़रा देर को रुलाये मुझे
मैं चाहता हूँ कि तुम ही मुझे इजाज़त दो
तुम्हारी तरह से कोई गले लगाए मुझे
*************************************
Agar yaqeen nahi aata to aazmaa lo mujhe
Wo aaina hai to phir aaina dikhaaye mujhe
Ajab charaagh hoon din raat jalta rehta hoon
Main thak gaya hoon hawa se kaho bujhaaye mujhe
Main jis ki aankh ka aansu tha usne qadr na ki
Bikhar gaya hoon to ab ret se uthaaye mujhe
Bahut dinon se main in pattharon mein patthar hoon
Koi to aaye zara der ko rulaaye mujhe
Main chahta hoon ke tum hi mujhe ijaazat do
Tumhaari tarah se koi gale lagaaye mujhe
सर-ए-राह कुछ भी कहा नहीं कभी उस के घर मैं गया नहीं
मैं जनम जनम से उसी का हूँ उसे आज तक ये पता नहीं
उसे पाक नज़रों से चूमना भी इबादतों में शुमार है
कोई फूल लाख क़रीब हो कभी मैं ने उस को छुआ नहीं
ये ख़ुदा की देन अजीब है कि इसी का नाम नसीब है
जिसे तू ने चाहा वो मिल गया जिसे मैं ने चाहा मिला नहीं
इसी शहर में कई साल से मिरे कुछ क़रीबी अज़ीज़ हैं
उन्हें मेरी कोई ख़बर नहीं मुझे उन का कोई पता नहीं
*************************************
Sar-e-raah kuch bhi kaha nahi kabhi uske ghar main gaya nahi
Main janam janam se usi ka hoon usse aaj tak ye pata nahi
Use paak nazron se choomna bhi ibaadaton mein shumaar hai
Koi phool laakh qareeb ho kabhi main ne usko chhua nahi
Ye khuda ki den ajeeb hai ki isi ka naam naseeb hai
Jise tu ne chaaha wo mil gaya jise main ne chaaha mila nahi
Isi shehar mein kai saal se mere kuch qareebi azeez hain
Unhein meri koi khabar nahi mujhe unka koi pata nahi
होंटों पे मोहब्बत के फ़साने नहीं आते
साहिल पे समुंदर के ख़ज़ाने नहीं आते
पलकें भी चमक उठती हैं सोने में हमारी
आँखों को अभी ख़्वाब छुपाने नहीं आते
दिल उजड़ी हुई एक सराए की तरह है
अब लोग यहाँ रात जगाने नहीं आते
यारो नए मौसम ने ये एहसान किए हैं
अब याद मुझे दर्द पुराने नहीं आते
उड़ने दो परिंदों को अभी शोख़ हवा में
फिर लौट के बचपन के ज़माने नहीं आते
इस शहर के बादल तिरी ज़ुल्फ़ों की तरह हैं
ये आग लगाते हैं बुझाने नहीं आते
अहबाब भी ग़ैरों की अदा सीख गए हैं
आते हैं मगर दिल को दुखाने नहीं आते
*************************************
Honton pe mohabbat ke fasaane nahi aate
Saahil pe samundar ke khazaane nahi aate
Palkein bhi chamak uthti hain sone mein humaari
Aankhon ko abhi khwaab chhupaane nahi aate
Dil ujdi hui ek saraaye ki tarah hai
Ab log yahaan raat jagaane nahi aate
Yaaro naye mausam ne ye ehsaan kiye hain
Ab yaad mujhe dard puraane nahi aate
Udne do parindon ko abhi shokh hawa mein
Phir laut ke bachpan ke zamaane nahi aate
Is shehar ke baadal tire zulfon ki tarah hain
Ye aag lagaate hain bujhaane nahi aate
Ahbaab bhi ghairon ki ada seekh gaye hain
Aate hain magar dil ko dukhaane nahi aate
हमारा दिल सवेरे का सुनहरा जाम हो जाए
चराग़ों की तरह आँखें जलें जब शाम हो जाए
कभी तो आसमाँ से चाँद उतरे जाम हो जाए
तुम्हारे नाम की इक ख़ूब-सूरत शाम हो जाए
अजब हालात थे यूँ दिल का सौदा हो गया आख़िर
मोहब्बत की हवेली जिस तरह नीलाम हो जाए
समुंदर के सफ़र में इस तरह आवाज़ दे हम को
हवाएँ तेज़ हों और कश्तियों में शाम हो जाए
मुझे मालूम है उस का ठिकाना फिर कहाँ होगा
परिंदा आसमाँ छूने में जब नाकाम हो जाए
उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो
न जाने किस गली में ज़िंदगी की शाम हो जाए
*************************************
Hamare dil savere ka sunahara jaam ho jaaye
Charaaghon ki tarah aankhen jalein jab shaam ho jaaye
Kabhi to aasman se chaand utare jaam ho jaaye
Tumhare naam ki ik khoobsurat shaam ho jaaye
Ajab haalaat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir
Mohabbat ki haveli jis tarah neelam ho jaaye
Samundar ke safar mein is tarah aawaaz de hum ko
Hawaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaaye
Mujhe maaloom hai uska thikaana phir kahan hoga
Parinda aasman choone mein jab nakaam ho jaaye
Ujale apni yaadon ke hamare saath rehne do
Na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
उदासी आसमाँ है दिल मिरा कितना अकेला है
परिंदा शाम के पुल पर बहुत ख़ामोश बैठा है
मैं जब सो जाऊँ इन आँखों पे अपने होंट रख देना
यक़ीं आ जाएगा पलकों तले भी दिल धड़कता है
तुम्हारे शहर के सारे दिए तो सो गए कब के
हवा से पूछना दहलीज़ पे ये कौन जलता है
अगर फ़ुर्सत मिले पानी की तहरीरों को पढ़ लेना
हर इक दरिया हज़ारों साल का अफ़्साना लिखता है
कभी मैं अपने हाथों की लकीरों से नहीं उलझा
मुझे मालूम है क़िस्मत का लिक्खा भी बदलता है
*************************************
Udaasi aasman hai dil mera kitna akela hai
Parinda shaam ke pul par bahut khaamosh baitha hai
Main jab so jaaun in aankhon pe apne hont rakh dena
Yaqeen aa jaayega palkon tale bhi dil dhadakta hai
Tumhare shehar ke saare diye to so gaye kab ke
Hawa se poochhna dehleez pe ye kaun jalta hai
Agar fursat mile paani ki tehreeron ko padh lena
Har ek dariya hazaaron saal ka afsaana likhta hai
Kabhi main apne haathon ki lakeeron se nahi uljha
Mujhe maaloom hai qismat ka likha bhi badalta hai
ख़ुदा हम को ऐसी ख़ुदाई न दे
कि अपने सिवा कुछ दिखाई न दे
ख़ता-वार समझेगी दुनिया तुझे
अब इतनी ज़ियादा सफ़ाई न दे
हँसो आज इतना कि इस शोर में
सदा सिसकियों की सुनाई न दे
ग़ुलामी को बरकत समझने लगें
असीरों को ऐसी रिहाई न दे
ख़ुदा ऐसे एहसास का नाम है
रहे सामने और दिखाई न दे
*************************************
Khuda humko aisi khudai na de
Ke apne siwa kuch dikhai na de
Khata-war samjhegi duniya tujhe
Ab itni zyada safai na de
Hanso aaj itna ki is shor mein
Sada siskiyon ki sunaai na de
Ghulami ko barkat samajhne lagein
Aseeron ko aisi rihaai na de
Khuda aise ehsas ka naam hai
Rahe saamne aur dikhai na de
यूँही बे-सबब न फिरा करो कोई शाम घर में रहा करो
वो ग़ज़ल की सच्ची किताब है उसे चुपके चुपके पढ़ा करो
कोई हाथ भी न मिलाएगा जो गले मिलोगे तपाक से
ये नए मिज़ाज का शहर है ज़रा फ़ासले से मिला करो
अभी राह में कई मोड़ हैं कोई आएगा कोई जाएगा
तुम्हें जिस ने दिल से भुला दिया उसे भूलने की दुआ करो
मुझे इश्तिहार सी लगती हैं ये मोहब्बतों की कहानियाँ
जो कहा नहीं वो सुना करो जो सुना नहीं वो कहा करो
कभी हुस्न-ए-पर्दा-नशीं भी हो ज़रा आशिक़ाना लिबास में
जो मैं बन सँवर के कहीं चलूँ मिरे साथ तुम भी चला करो
नहीं बे-हिजाब वो चाँद सा कि नज़र का कोई असर न हो
उसे इतनी गर्मी-ए-शौक़ से बड़ी देर तक न तका करो
ये ख़िज़ाँ की ज़र्द सी शाल में जो उदास पेड़ के पास है
ये तुम्हारे घर की बहार है उसे आँसुओं से हरा करो
*************************************
Yunhi be-sabab na phira karo koi shaam ghar mein raha karo
Wo ghazal ki sacchi kitaab hai use chupke chupke padha karo
Koi haath bhi na milaayega jo gale miloge tapaak se
Ye naye mizaaj ka shehar hai zara faasle se mila karo
Abhi raah mein kai mod hain koi aayega koi jaayega
Tumhein jis ne dil se bhula diya use bhoolne ki dua karo
Mujhe ishtihar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyaan
Jo kaha nahi wo suna karo jo suna nahi wo kaha karo
Kabhi husn-e-parda-nasheen bhi ho zara aashiqana libaas mein
Jo main ban sanwar ke kahin chaluun mere saath tum bhi chala karo
Nahi be-hijaab wo chaand sa ki nazar ka koi asar na ho
Use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo
Ye khizan ki zard si shaal mein jo udaas ped ke paas hai
Ye tumhare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo
घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया कोई आदमी न मिला
Gharon pe naam the naamon ke saath ohde the
Bahut talaash kiya koi aadmi na mila
--------------------------------------------
तुम मोहब्बत को खेल कहते हो
हम ने बर्बाद ज़िंदगी कर ली
Tum mohabbat ko khel kehte ho
Hum ne barbaad zindagi kar li
--------------------------------------------
अगर तलाश करूँ कोई मिल ही जाएगा
मगर तुम्हारी तरह कौन मुझ को चाहेगा
Agar talaash karun koi mil hi jaayega
Magar tumhaari tarah kaun mujhko chahega
--------------------------------------------
गुफ़्तुगू उन से रोज़ होती है
मुद्दतों सामना नहीं होता
Guftagu unse roz hoti hai
Muddaton saamna nahi hota
अभी राह में कई मोड़ हैं कोई आएगा कोई जाएगा
तुम्हें जिस ने दिल से भुला दिया उसे भूलने की दुआ करो
Abhi raah mein kai mod hain koi aayega koi jaayega
Tumhein jis ne dil se bhula diya use bhoolne ki dua karo
-------------------------------------------
इसी शहर में कई साल से मिरे कुछ क़रीबी अज़ीज़ हैं
उन्हें मेरी कोई ख़बर नहीं मुझे उन का कोई पता नहीं
Isi shehar mein kai saal se mere kuch qareebi azeez hain
Unhein meri koi khabar nahi mujhe unka koi pata nahi
--------------------------------------------
भला हम मिले भी तो क्या मिले वही दूरियाँ वही फ़ासले
न कभी हमारे क़दम बढ़े न कभी तुम्हारी झिजक गई
Bhalla hum mile bhi to kya mile wahi dooriyan wahi faasle
Na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhaari jhijhak gayi
--------------------------------------------
आशिक़ी में बहुत ज़रूरी है
बेवफ़ाई कभी कभी करना
Aashiqi mein bahut zaroori hai
Bewafai kabhi kabhi karna
शोहरत की बुलंदी भी पल भर का तमाशा है
जिस डाल पे बैठे हो वो टूट भी सकती है
Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
Jis daal pe baithe ho wo toot bhi sakti hai
--------------------------------------------
आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा
कश्ती के मुसाफ़िर ने समुंदर नहीं देखा
Aankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samundar nahi dekha
--------------------------------------------
भूल शायद बहुत बड़ी कर ली
दिल ने दुनिया से दोस्ती कर ली
Bhool shayad bahut badi kar li
Dil ne duniya se dosti kar li
--------------------------------------------
पत्थर मुझे कहता है मिरा चाहने वाला
मैं मोम हूँ उस ने मुझे छू कर नहीं देखा
Patthar mujhe kehta hai mera chahne wala
Main mom hoon usne mujhe chhoo kar nahi dekha
लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में
तुम तरस नहीं खाते बस्तियाँ जलाने में
Log toot jaate hain ek ghar banane mein
Tum taras nahi khaate bastiyan jalaane mein
--------------------------------------------
दुश्मनी जम कर करो लेकिन ये गुंजाइश रहे
जब कभी हम दोस्त हो जाएँ तो शर्मिंदा न हों
Dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe
Jab kabhi hum dost ho jaayen to sharminda na hon
--------------------------------------------
कुछ तो मजबूरियाँ रही होंगी
यूँ कोई बेवफ़ा नहीं होता
Kuch to majbooriyan rahi hongi
Yun koi bewafa nahi hota
--------------------------------------------
न जी भर के देखा न कुछ बात की
बड़ी आरज़ू थी मुलाक़ात की
Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki
Badi aarzu thi mulaqat ki
यहाँ लिबास की क़ीमत है आदमी की नहीं
मुझे गिलास बड़े दे शराब कम कर दे
Yahan libaas ki qeemat hai aadmi ki nahi
Mujhe gilaas bade de sharaab kam kar de
-------------------------------------------
हर धड़कते पत्थर को लोग दिल समझते हैं
उम्रें बीत जाती हैं दिल को दिल बनाने में
Har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain
Umeren beet jaati hain dil ko dil banane mein
--------------------------------------------
बड़े लोगों से मिलने में हमेशा फ़ासला रखना
जहाँ दरिया समुंदर से मिला दरिया नहीं रहता
Bade logon se milne mein hamesha faasla rakhna
Jahan dariya samundar se mila dariya nahi rehta
--------------------------------------------
मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला
Mohabbaton mein dikhaave ki dosti na mila
Agar gale nahi milta to haath bhi na mila
हम तो कुछ देर हँस भी लेते हैं
दिल हमेशा उदास रहता है
Hum to kuch der hans bhi lete hain
Dil hamesha udaas rehta hai
--------------------------------------------
तुम मुझे छोड़ के जाओगे तो मर जाऊँगा
यूँ करो जाने से पहले मुझे पागल कर दो
Tum mujhe chhod ke jaaoge to mar jaaunga
Yun karo jaane se pehle mujhe paagal kar do
--------------------------------------------
कोई हाथ भी न मिलाएगा जो गले मिलोगे तपाक से
ये नए मिज़ाज का शहर है ज़रा फ़ासले से मिला करो
Koi haath bhi na milaayega jo gale miloge tapaak se
Ye naye mizaaj ka shehar hai zara faasle se mila karo
--------------------------------------------
ख़ुदा की इतनी बड़ी काएनात में मैं ने
बस एक शख़्स को माँगा मुझे वही न मिला
Khuda ki itni badi kaaynaat mein main ne
Bas ek shakhs ko manga mujhe wahi na mila
I love to see you feedback here for improvement for this page for good shayari collection
chetan.yamger@gmail.com
Copyright © 2018 Ek Nazariya - All Rights Reserved.
Designed by Chetan Yamger