Nida Fazli (full name Muqtida Hasan Nida Fazli) was a renowned Indian Urdu and Hindi poet and lyricist, born on 12 October 1938 in Gwalior, Madhya Pradesh, India. His poetry is celebrated for its simplicity, emotional depth, and ability to connect with the common man.
Nida Fazli grew up in Gwalior and developed a deep love for literature, particularly Urdu and Hindi poetry.During the Partition of India in 1947, while his family migrated to Pakistan, he chose to remain in India, which profoundly shaped his life and writing.
Nida Fazli penned lyrics for many iconic songs in Indian cinema. Some of his popular works include:
Nida Fazli passed away on 8 February 2016 in Mumbai, India, leaving behind a legacy of poetry that continues to resonate with lovers of Urdu and Hindi literature.
कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता
कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ नहीं मिलता
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen, kahin aasman nahi milta
--------------------------------------------
हर आदमी में होते हैं दस बीस आदमी
जिस को भी देखना हो कई बार देखना
--------------------------------------------
Har aadmi mein hote hain das bees aadmi
Jis ko bhi dekhna ho kai baar dekhna
धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो
ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो
--------------------------------------------
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho
Zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho
कोशिश भी कर उमीद भी रख रास्ता भी चुन
फिर इस के ब'अद थोड़ा मुक़द्दर तलाश कर
--------------------------------------------
Koshish bhi kar, umeed bhi rakh, raasta bhi chun
Phir is ke baad thoda muqaddar talaash kar
बच्चों के छोटे हाथों को चाँद सितारे छूने दो
चार किताबें पढ़ कर ये भी हम जैसे हो जाएँगे
--------------------------------------------
Bachchon ke chhote haathon ko chaand sitaare chhoone do
Chaar kitaabein padh kar ye bhi hum jaise ho jaayenge
घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाए
--------------------------------------------
Ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar lein
Kisi rote hue bachche ko hansaya jaaye
दुश्मनी लाख सही ख़त्म न कीजे रिश्ता
दिल मिले या न मिले हाथ मिलाते रहिए
--------------------------------------------
Dushmani laakh sahi, khatam na kijiye rishta
Dil mile ya na mile, haath milate rahiye
दुनिया जिसे कहते हैं जादू का खिलौना है
मिल जाए तो मिट्टी है खो जाए तो सोना है
Duniya jise kehte hain jaadu ka khilona hai
Mil jaaye to mitti hai, kho jaaye to sona hai
--------------------------------------------
अपनी मर्ज़ी से कहाँ अपने सफ़र के हम हैं
रुख़ हवाओं का जिधर का है उधर के हम हैं
Apni marzi se kahaan apne safar ke hum hain
Rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
--------------------------------------------
कुछ भी बचा न कहने को हर बात हो गई
आओ कहीं शराब पिएँ रात हो गई
Kuch bhi bacha na kehne ko, har baat ho gayi
Aao kahin sharaab piyein, raat ho gayi
--------------------------------------------
तुम से छुट कर भी तुम्हें भूलना आसान न था
तुम को ही याद किया तुम को भुलाने के लिए
Tum se chhut kar bhi tumhein bhoolna aasan na tha
Tum ko hi yaad kiya tum ko bhulane ke liye
--------------------------------------------
उस के दुश्मन हैं बहुत आदमी अच्छा होगा
वो भी मेरी ही तरह शहर में तन्हा होगा
Us ke dushman hain bahut aadmi achha hoga
Woh bhi meri hi tarah sheher mein tanha hoga
--------------------------------------------
सब कुछ तो है क्या ढूँडती रहती हैं निगाहें
क्या बात है मैं वक़्त पे घर क्यूँ नहीं जाता
Sab kuch to hai, kya dhoondti rehti hain nigaahein
Kya baat hai, main waqt pe ghar kyun nahi jaata
--------------------------------------------
यहाँ किसी को कोई रास्ता नहीं देता
मुझे गिरा के अगर तुम सँभल सको तो चलो
Yahan kisi ko koi rasta nahi deta
Mujhe gira ke agar tum sambhal sakon to chalo
--------------------------------------------
जितनी बुरी कही जाती है उतनी बुरी नहीं है दुनिया
बच्चों के स्कूल में शायद तुम से मिली नहीं है दुनिया
Jitni buri kahi jaati hai utni buri nahi hai duniya
Bachon ke school mein shayad tum se mili nahi hai duniya
--------------------------------------------
कुछ लोग यूँही शहर में हम से भी ख़फ़ा हैं
हर एक से अपनी भी तबीअ'त नहीं मिलती
Kuch log yunhi sheher mein hum se bhi khafa hain
Har ek se apni bhi tabi'at nahi milti
--------------------------------------------
अब ख़ुशी है न कोई दर्द रुलाने वाला
हम ने अपना लिया हर रंग ज़माने वाला
Ab khushi hai na koi dard rulane wala
Hum ne apna liya har rang zamane wala
--------------------------------------------
कुछ तबीअ'त ही मिली थी ऐसी चैन से जीने की सूरत न हुई
जिस को चाहा उसे अपना न सके जो मिला उस से मोहब्बत न हुई
Kuch tabi'at hi mili thi aisi, chain se jeene ki soorat na hui
Jis ko chaaha, use apna na sake, jo mila, us se mohabbat na hui
--------------------------------------------
I love to see you feedback here for improvement for this page for good shayari collection
chetan.yamger@gmail.com
Copyright © 2018 Ek Nazariya - All Rights Reserved.
Designed by Chetan Yamger