"जहाँ रहेगा वहीँ रोशनी लुटाएगा
किसी चराग़ का अपना मकान नहीं होता"
" jahan rahega wahi roshni lutaega
kisi charagh ka apna makaan nahi hota "
तुझे पाने की कोशिश में कुछ इतना खो चुका हूँ मैं
कि तू मिल भी अगर जाए तो अब मिलने का ग़म होगा
*************************************
Tujhe paane ki koshish mein kuch itna kho chuka hoon main
ki tu mil bhi agar jaaye to ab milne ka gham hoga
वो झूठ बोल रहा था बड़े सलीके से
मैं एतिबार न करता तो और क्या करता
*************************************
Wo jhooth bol raha tha bade salike se
main aitbaar na karta to aur kya karta
रात तो वक्त की पाबंद है ढल जाएगी
देखना ये है चराग़ों का सफर कितना है
*************************************
Raat to waqt ki paband hai dhal jaayegi
dekhna ye hai charaghon ka safar kitna hai
वैसे तो एक आँसू ही बहा कर मुझे ले जा ए
ऐसे कोई तूफान हिला भी नहीं सकता
*************************************
vaise to ek aansu hi baha kar mujhe le jaaye
aise koi toofan hila bhi nahin sakta
शाम तक सुबह की नज़रों से उतर जाते हैं
इतने समझौतों पे जीते हैं कि मर जाते हैं
*************************************
Shaam tak subah ki nazaron se utar jaate hain
itne samjhauton pe jeete hain ki mar jaate hain
मुसलसल हादसों से बस मुझे इतनी शिकायत है
कि ये आँसू बहाने की भी तो मोहलत नहीं देते
*************************************
Musalsal haadson se bas mujhe itni shikayat hai
ki ye aansu bahane ki bhi to mohlaat nahin dete
मोहब्बत में बिछड़ने का हुनर सब को नहीं आता
किसी को छोड़ना हो तो मुलाक़ातेँ बड़ी करना
Mohabbat mein bichhadne ka hunar sab ko nahin aata
kisi ko chhodna ho to mulaqatein badi karna
--------------------------------------------
ऐसे रिश्ते का भरम रखना कोई खेल नहीं
तेरा होना भी नहीं और तेरा कहलाना भी
Aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahi
tera hona bhi nahi aur tera kehlana bhi
--------------------------------------------
हमारे घर का पता पूछने से क्या हासिल
उदासियों की कोई शहरियत नहीं होती
Hamare ghar ka pata poochhne se kya hasil
Udasion ki koi shahriyat nahi hoti
--------------------------------------------
मैंने चाहा है तुझे आम से इंसान की तरह
तू मेरा ख़्वाब नहीं है जो बिखर जाएगा
Maine chaaha hai tujhe aam se insaan ki tarah
tu mera khwab nahi hai jo bikhar jaayega
--------------------------------------------
बहुत से ख़्वाब देखोगे तो आँखें
तुम्हारा साथ देना छोड़ देंगी
Bahut se khwab dekhoge to aankhein
Tumhara saath dena chhod dengi
--------------------------------------------
क्या दुख है समुद्र को बता भी नहीं सकता
आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता
kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta
--------------------------------------------
मैं जिन दिनों तेरे बारे में सोचता हूँ बहुत
उन्हीं दिनों तो ये दुनिया समझ में आती है
Main jin dinoon tere baare mein sochta hoon Bahut
Unhi dinoon to ye duniya samajh mein aati hai
--------------------------------------------
थके-हारे परिंदे जब बसेरे के लिए लौटें
सलीका-मंद शाखों का लचक जाना ज़रूरी है
Thake-haare parinde jab basere ke liye lautain
salika-mand shakhon ka lachak jaana zaroori hai
-------------------------------------------
I love to see you feedback here for improvement for this page for good shayari collection
chetan.yamger@gmail.com
Copyright © 2018 Ek Nazariya - All Rights Reserved.
Designed by Chetan Yamger