और 'फ़राज़' चाहिएँ कितनी मोहब्बतें तुझे
माओं ने तेरे नाम पर बच्चों का नाम रख दिया
Aur 'Faraz,' chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam par bachhon ka naam rakh diya
--------------------------------------------
हम को अच्छा नहीं लगता कोई हमनाम तिरा
कोई तुझ सा हो तो फिर नाम भी तुझ सा रक्खे
--------------------------------------------
Hum ko achha nahin lagta koi hamnaam tera
Koi tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rakhe
मैं क्या करूँ मिरे क़ातिल न चाहने पर भी
तिरे लिए मिरे दिल से दुआ निकलती है
--------------------------------------------
Main kya karoon mere qatil na chahne par bhi
Tere liye mere dil se dua nikalti hai
रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ
आ फिर से मुझे छोड़ के जाने के लिए आ
--------------------------------------------
Ranjish hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
ज़िंदगी से यही गिला है मुझे
तू बहुत देर से मिला है मुझे
--------------------------------------------
Zindagi se yehi gila hai mujhe
Tu bahut der se mila hai mujhe
ग़म-ए-दुनिया भी ग़म-ए-यार में शामिल कर लो
नश्शा बढ़ता है शराबें जो शराबों में मिलें
--------------------------------------------
Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shamil kar lo
Nasha badhta hai sharaabein jo sharaabon mein milen
अब दिल की तमन्ना है तो ऐ काश यही हो
आँसू की जगह आँख से हसरत निकल आए
--------------------------------------------
Ab dil ki tamanna hai to ai kaash yehi ho
Aansoo ki jagah aankh se hasrat nikal aaye
दिल भी पागल है कि उस शख़्स से वाबस्ता है
जो किसी और का होने दे न अपना रक्खे
Dil bhi paagal hai ki us shakhs se wabasta hai
Jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe
--------------------------------------------
इस क़दर मुसलसल थीं शिद्दतें जुदाई की
आज पहली बार उस से मैं ने बेवफ़ाई की
Is qadar musalsal thiin shiddatein judai ki
Aaj pehli baar us se maine bewafai ki
--------------------------------------------
आँख से दूर न हो दिल से उतर जाएगा
वक़्त का क्या है गुज़रता है गुज़र जाएगा
Aankh se door na ho dil se utar jayega
Waqt ka kya hai guzarta hai guzr jayega
--------------------------------------------
दिल को तिरी चाहत पे भरोसा भी बहुत है
और तुझ से बिछड़ जाने का डर भी नहीं जाता
Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai
Aur tujh se bichad jaane ka darr bhi nahi jaata
--------------------------------------------
तुम तकल्लुफ़ को भी इख़्लास समझते हो 'फ़राज़'
दोस्त होता नहीं हर हाथ मिलाने वाला
Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho 'Faraz'
Dost hota nahi har haath milaane waala
--------------------------------------------
अब और क्या किसी से मरासिम बढ़ाएँ हम
ये भी बहुत है तुझ को अगर भूल जाएँ हम
Ab aur kya kisi se marasim badhaayein hum
Yeh bhi bahut hai tujh ko agar bhool jaayein hum
--------------------------------------------
उम्र भर कौन निभाता है तअल्लुक़ इतना
ऐ मिरी जान के दुश्मन तुझे अल्लाह रक्खे
Umr bhar kaun nibhaata hai ta’alluq itna
Ai meri jaan ke dushman tujhe Allah rakkhe
--------------------------------------------
अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख़्वाबों में मिलें
जिस तरह सूखे हुए फूल किताबों में मिलें
Ab ke hum bichde to shayad kabhi khwabon mein milen
Jis tarah sukhe hue phool kitaabon mein milen
--------------------------------------------
बंदगी हम ने छोड़ दी है 'फ़राज़'
क्या करें लोग जब ख़ुदा हो जाएँ
Bandagi hum ne chhod di hai 'Faraz'
Kya karein log jab Khuda ho jaayein
--------------------------------------------
अगर तुम्हारी अना ही का है सवाल तो फिर
चलो मैं हाथ बढ़ाता हूँ दोस्ती के लिए
Agar tumhari ana hi ka hai sawaal to phir
Chalo main haath badhata hoon dosti ke liye
--------------------------------------------
इस से पहले कि बे-वफ़ा हो जाएँ
क्यूँ न ऐ दोस्त हम जुदा हो जाएँ
Is se pehle ki be-wafa ho jaayein
Kyun na ai dost hum juda ho jaayein
--------------------------------------------
I love to see you feedback here for improvement for this page for good shayari collection
chetan.yamger@gmail.com
Copyright © 2018 Ek Nazariya - All Rights Reserved.
Designed by Chetan Yamger